Wednesday, September 5, 2012

Ghajal Shayari


Hindi SMS Ghazals

Wohi Gardashain Wohi Paich-O-Kham Tere Baad Bhi,
Wohi Houslay Mere Dum Ba Dum Tere Baad Bhi,

Tere Sath Thi Teri Jafa Mujhay Mo’atabar,
Tere Saaray Gham Mujhay Mohtaram Tere Baad Bhi,

Mere Sath He Meri Har Khushi Teri Muntazir,
Teri Muntazir Meri Chasham-E-Namm Tere Baad Bhi,

Tu Kisi K Qalab-O-Arzoo Mein Dhal Gaya,
Main Na Ho Saka Kabhi Khud Mein Zamm Tere Baad Bhi,

Mere Baad Kitnay He Roop Tu Ne Badal Liye,
Main Wohin Hoon Ab Teri Qasam Tere Baad Bhi …

Mehdi Hassan Ghazals

Garmiye hasrat-e-nakaam se jal jaate hain
Hum chiraagon ki tarah shaam se jal jaate hain

Shama jalti hai jis aag mein numayish ke liye
Hum usi aag mein gumnaam se jal jaate hain

Jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath
jaane kyon log mere naam se jal jaate hain…
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi…

Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi

Kyun usey Tuu ne bas ek Phool kaha hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi

Tu jise itni Haseen cheez samajhta hai wo Phool
Sookh jaaye to Nigaahon ko bura lagta hai
Phool ka apna koi rang koi Roop nahi
Uske Jore mai saja ho to Bhala lagta hai
Mera Mehboob to har Waqt Naya hai Mere Dost

Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi

Mere Mehboob ke Jalwon ka nahi koi Jawaab
Dhoop sa rang hai aur khud hai wo Chha’aoon jesa
Uski Payal mai Barsaat ka Mausam Chhanke
Sar pe Resham ka Dupatta hai Ghata’aon jesa
Wo jahan bhar ke Haseeno se juda hai Mere Dost

Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi

Mere Mehboob ki Aankhen hain Do Gehri Jheelien
Jin mai khilte hain Mere waaste Chahat ke Kanwal
Unko dekhoon to Mujhe Shayari karni aa jaaye
Aur mai uske lye Gaaon Mohabbat ki Ghazal
Wo Mere Dil ke Dharakne ki sada hai Mere Dost

Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
A Nice Hindi Ghazal

Mohabbaton mein agar koi rasm o raah nah ho
Sakoon tabaah nah ho, zindagi gunaah nah ho

Kutch aetedaal bhi laazim hai dill lagi key liey
Kissi sey pyaar agar ho to bepanaah nah ho

Iss ehtyaat sey mai terey saath chalta hon
Teri nigaah sey aagey meri nigaah nah ho

Mera wajood hai sachaaion ka aaina
Yeh aour baat keh mera koi gawaah nah ho

Azhar Shehzad Sheikh

Meri Zindagi To Firaaq Hai…
Socha Nahi Acha Bura…

Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch b nahi
Manga Khuda se her Waqt, Tere siwa Kuch b nahi

Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe
Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch b nahi

Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar
Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch b nahi

Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak
Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch b nahi

Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga
Aag per jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch b nahi
Ghazal:Apna Use Banana Gar…

Apna Use Banana Gar Mere Bas Me Hota
Lout Ata Lout Aana Gar Mere Bas Me Hota

Ankhon Me Unki Jata Surat Badal Badal Kar
Khawabon Me Aana Jana Gar Mere Bas Me Hota

Chahere Ko Muskrahat Se Mai Sajaye Rakhta Hoon
Aye Yaar Muskrana Gar Mere Bas Me Hota

Duniya Se Qatam Karke Rakh Deta Ranj O Gham Ko
Bazm-e-Tarab Sajana Gar Mere Bas Me Hota

Qadmon Me Unke Lakar Taare Bekhair Deta
Taaron Ko Tod Lana Gar Mere Bas Me Hota

Lata Na Naam Bhi Mai Us Bewafa Ka Lab Per
Shahezad Ko Bhulana Gar Mere Bas Me Hota…


No comments:

Post a Comment